ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah
bas gaya tha mere andar koi KHushbu ki tarah
koi saya na mila saya-e-gesu ki tarah
sare jiwan ki thakan utri hai jadu ki tarah
meri aawaz tujhe chhu le bas itni mohlat
tere kuche se guzar jaunga sadhu ki tarah
wo jo aa jae to kya hosh ka aalam hoga
jis ke aane ki KHabar phaili hai KHushbu ki tarah
zindagi pyar wafa sab ka muqaddar yaksan
muskurahaT ki tarah hai kabhi aansu ki tarah
har taraf aag laga aae ho phir puchhte ho
kyun chali baad-e-saba ab ke baras lu ki tarah
shaeri teri ibaadat ke siwa kuchh bhi nahin
kar raha hun main tapasya kisi sadhu ki tarah
har alam sath raha gard-e-safar ki manind
har KHushi rah mein mujh ko mili jugnu ki tarah
zindagi Thokaren khati hai bichhaD kar tujh se
teri pazeb ke TuTe hue ghunghru ki tarah
koi ishwar kahe us ko ki KHuda koi kahe
wo musalman ki tarah hai na wo hindu ki tarah
apni har sans pe ehsan liye ham-dardon ka
zindagi jita hun is ahd mein urdu ki tarah
ab ye ehsas ki KHubi ho ki KHami ho 'nur'
us ki nafrat ka dhuan bhi laga KHushbu ki tarah
Ghazal
Ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah
Krishn Bihari Noor