ho ke bas insan hairan sar pakaD kar baiTh jae
kya ban aae us ghaDi jab wo bigaD kar baiTh jae
tu wo aafat hai koi tujh se uTha sakta hai dil
dekh le koi jo tujh ko dil pakaD kar baiTh jae
wasl mein bhi us se kah sakta nahin kuchh KHauf se
dur khich kar pas se mere na maD kar baiTh jae
dosto meri nahin taqsir dil dene mein kuchh
dil wo le kar hi uThe jab pas aD kar baiTh jae
is KHushamad se mera kuchh muddaa hi aur hai
chahte ho tum ye mere panw paD kar baiTh jae
us ka bal kha kar wo uThna pas se mere ghazab
aur ek aafat hai jo wo khich kar akaD kar baiTh jae
muft le lete hain dil aashiq se apne wo 'nizam'
lakh phir mange koi thak kar jhagaD kar baiTh jae
Ghazal
Ho ke bas insan hairan sar pakaD kar baiTh jae
Nizam Rampuri