ho ke aashiq jaan marne se churae kis liye
mard-e-maidan jo na ho maidan mein aae kis liye
jo dil-o-iman na din nazr un buton ko dekh kar
ya-KHuda wo log is duniya mein aae kis liye
hai ye andaz-e-haya aur tarz-e-tamkin kyun nahin
jo na howe chor wo aankhen churae kis liye
dekhiye kis jannati ke aaj khulte hain nasib
tegh kyun tole hain ye chille chaDhae kis liye
ungliyan apne par uThwani na hon manzur to
wo kisi ko aam mahfil se uThae kis liye
us ke pech-o-KHam se jite-ji nikalna hai muhaal
hazrat-e-'kaifi' tum is kuche mein aae kis liye
Ghazal
Ho ke aashiq jaan marne se churae kis liye
Dattatriya Kaifi