ho kaise kisi wade ka iqrar registered
jab KHud hi nahin hai meri sarkar registered
kya shaiKH o barhaman pe kare koi bharosa
tasbih registered na zunnar registered
is jumbish chitwan se koi bach nahin sakta
qatil ka mere hota hai har war registered
chahe bhi to ab tark-e-taghaful nahin mumkin
hai dost ki ghaflat ka ye aazar registered
muddat hui dam toD diya amn-o-aman ne
ab ho gae ye hashr ke aasar registered
ho paya tere husn-e-talawwun ke karam se
iqrar registered na inkar registered
duniya hai meri tegh ka mane hue loha
hai sare zamane mein ye talwar registered
tujh par tere har fel par uThne lagi ungli
tu KHud hai gazetted tera kirdar registered
ab husn-faroshi ke liye misr ke badle
bhaarat mein hai naKHKHas ka bazar registered
tu lakh kare chehra-e-zeba ki numaish
hoga na tere husn ka mear registered
chaDhta hai irada mera parwan tah-e-tegh
hota hai mera azm sar-e-dar registered
baiTha hua sikka hai meri fikr-e-suKHan ka
ai 'shauq' na hon kyun mere ashaar registered
Ghazal
Ho kaise kisi wade ka iqrar registered
Shauq Bahraichi