ho kash wafa wada-e-farda-e-qayamat
aaegi magar dekhiye kab aae qayamat
sunta hun ki hangama-e-didar bhi hoga
ek aur qayamat hai ye baala-e-qayamat
hum dil ko in alfaz se karte hain muKHatab
ai jalwa-gah-e-anjuman-ara-e-qayamat
allah bachae gham-e-furqat wo bala hai
munkir ki nigahon pe bhi chha jae qayamat
'fani' ye magar rah-e-mohabbat ki zamin hai
har zarre mein hai wusat-e-sahra-e-qayamat
Ghazal
Ho kash wafa wada-e-farda-e-qayamat
Fani Badayuni