ho juda ai chaara-gar hai mujh ko aazar-e-firaq
be-visal achchha hua bhi koi bimar-e-firaq
shoKHi-e-parda-nashin ki ishwa-sazi dekhna
dil hai badmast-e-visal aur dida bedar-e-firaq
ek nale mein phirega mehr-o-mah ko DhunDhta
ai falak mat chheD mujh ko hun aza-dar-e-firaq
wasl thi meri saza hijr intiqam-e-ghair tha
kab hua KHu-karda-e-hijran giraftar-e-firaq
koi karta hai KHata aur koi pata hai saza
ghair gustaKH-e-visal aur main saza-war-e-firaq
dam-ba-dam bijli gire ya nahr-e-KHun jari rahe
iltiyam is sine ka kya jo hai afgar-e-firaq
aankh kab lagti hai hile se jo tujh se lag gai
dastan-e-wasl kab sunta hai bedar-e-firaq
dam mein sayyaad ke kyun ki na bulbul mar rahe
daman-e-har-barg-e-gul mein tha nihan KHar-e-firaq
sau bahaar aae magar jata hai koi dagh-e-dil
lala-o-gul ka nahin mushtaq KHun-bar-e-firaq
ab 'qalaq' Thokar se teri ji chuka marne ke baad
aashna-e-wasl kab ho naz-bardar-e-firaq
Ghazal
Ho juda ai chaara-gar hai mujhko aazar-e-firaq
Ghulam Maula Qalaq