اردو हिंदी
Ho jaegi jab tum se shanasai zara aur | Shaahi Shayari
ho jaegi jab tum se shanasai zara aur

Ghazal

Ho jaegi jab tum se shanasai zara aur

Aanis Moin

;

ho jaegi jab tum se shanasai zara aur
baDh jaegi shayad meri tanhai zara aur

kyun khul gae logon pe meri zat ke asrar
ai kash ki hoti meri gahrai zara aur

phir hath pe zaKHmon ke nishan gin na sakoge
ye uljhi hui Dor jo suljhai zara aur

tardid to kar sakta tha phailegi magar baat
is taur bhi hogi teri ruswai zara aur

kyun tark-e-talluq bhi kiya lauT bhi aaya?
achchha tha ki hota jo wo harjai zara aur

hai dip teri yaad ka raushan abhi dil mein
ye KHauf hai lekin jo hawa aai zara aur

laDna wahin dushman se jahan gher sako tum
jitoge tabhi hogi jo paspai zara aur

baDh jaenge kuchh aur lahu bechne wale
ho jae agar shahr mein mahngai zara aur

ek Dubti dhaDkan ki sada log na sun len
kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur