ho gaya abru ki saffaki se shohra yar ka
kaam kar jae sipahi nam ho sardar ka
kucha-e-shah-rag se kya tera mahal nazdik hai
dam gale mein aa ke aTka hai tere bimar ka
misl-e-isa un ki KHidmat mein rasai ho gai
paDh gae koThe pe hum zina laga kirdar ka
raat ko aankhon ke niche phir gai taswir-e-yar
wah kya chamka sitara dida-e-bedar ka
'qadr' kya islah-e-'ghaalib' se meri shohrat hui
wo masal hai baDh kaTe nam ho talwar ka
Ghazal
Ho gaya abru ki saffaki se shohra yar ka
Qadr Bilgarami