ho gai sari pashemani abas
apni hasti hum ne pahchani abas
ab nikalta hi nahin surat se aks
dil ki ye aaina-samani abas
aankh patthar ki tarah sakit ho jab
qulzum-e-KHun ki ye jaulani abas
zindagi hai reg-zar-e-be-karan
dida-e-betab tughyani abas
milne par hairan hona tha 'saba'
chhuT kar un se ye hairani abas
Ghazal
Ho gai sari pashemani abas
Saba Jayasi