ho gai apnon ki zahir dushmani achchha hua
chhoD di hum ne bhi un ki dosti achchha hua
bach gae apnon ke har mashq-e-sitam se shukr hai
doston ne hum ko samjha ajnabi achchha hua
jis ko jine ka zara sa bhi nahin tha hausla
Dar ke gham se mar gaya wo aadmi achchha hua
jaane main aur tu ke jhagDe kaise suljhate bhi hum
aa gai thi kaam apni be-KHudi achchha hua
sham ke sae se bhi Darti rahi jo raushni
kha gai us raushni ko tirgi achchha hua
gham hi apna yar hai dil se juda hota nahin
chand lamhon ki KHushi ab ja chuki achchha hua
kaun deta mujh ko un ki bewafai ka subut
aap ne kar di kahi ko an-kahi achchha hua
mujh ko diwana samajh kar log mujh se dur hain
muft mein jo mujh pe ye tohmat lagi achchha hua
is tarah se laj rakh li hum ne 'asghar' pyar ki
rote rote aa gai lab par hansi achchha hua
Ghazal
Ho gai apnon ki zahir dushmani achchha hua
Asghar Velori