اردو हिंदी
Ho gae yar parae apne | Shaahi Shayari
ho gae yar parae apne

Ghazal

Ho gae yar parae apne

Firoz Khusro

;

ho gae yar parae apne
jism apne hain na sae apne

pher lin us ne bhi nazren aaKHir
waqt par kaam na aae apne

wo jo badla to zamana badla
rang duniya ne dikhae apne

ajnabi lagti hai apni surat
ho gae naqsh parae apne

kin shumar apni jafaen us ne
jurm sab hum ne ginae apne

har ghaDi swang rachaya hum ne
us ne sau rang dikhae apne

e'tibar aae bhi kaise us ka
baat jo dil ko na bhae apne

kya kahen mahw-e-safar hain kab se
jism ka bojh uThae apne

muntazir bazm-e-suKHan thi 'KHusraw'
shama kab samne aae apne