اردو हिंदी
Ho gae aangan juda aur raste bhi baT gae | Shaahi Shayari
ho gae aangan juda aur raste bhi baT gae

Ghazal

Ho gae aangan juda aur raste bhi baT gae

Aanand Saroop Anjum

;

ho gae aangan juda aur raste bhi baT gae
kya hua ye log kyun ek dusre se kaT gae

gham ne har ek raste mein khol rakkha tha mahaz
hum bhi chehre par hansi ka KHol le kar DaT gae

nafraton ki dhup jhulsane lagi har shaKHs ko
pyar ke us shahr mein sab peD kaise kaT gae

Dar ki jab sari haqiqat munkashif hum par hui
KHud-baKHud Dar ke sabhi sae achanak haT gae

kaun jaane kis nasheman par giri hain bijliyan
kis taraf TuTe hue taron ke ye jhurmaT gae

mo'atabar hone lagin jab bazm mein tarikiyan
KHamushi ki oT mein hum log pichhe haT gae

ghar se ai 'anjum' zara bahar nikal kar dekhna
log kahte hain ki ab tarik baadal chhaT gae