ho din ki chahe raat koi masala nahin 
mere liye hayat koi masala nahin 
uljha hua hun kab se sawalon ke dasht mein 
kaise kahun main zat koi masala nahin 
chalna hai sath sath ki rahen badal len hum 
tu soch mere sath koi masala nahin 
jo ho mufid aap wahi faisla karen 
manen na meri baat koi masala nahin 
sahra ki tez dhup mujhe aa gai hai ras 
jangal ki sard raat koi masala nahin 
'irfan' apne sath kabhi rah ke dekhna 
KHud se talluqat koi masala nahin
        Ghazal
Ho din ki chahe raat koi masala nahin
Ain Irfan

