اردو हिंदी
Ho chuki hijrat to phir kya farz hai ghar dekhna | Shaahi Shayari
ho chuki hijrat to phir kya farz hai ghar dekhna

Ghazal

Ho chuki hijrat to phir kya farz hai ghar dekhna

Zafar Kaleem

;

ho chuki hijrat to phir kya farz hai ghar dekhna
apni fitrat mein nahin pichhe palaT kar dekhna

ab wo bargad hai na wo panghaT na ab wo gopiyan
aise pas-manzar mein kya ganw ka manzar dekhna

jada-e-gul ki masafat hi nahin hai zindagi
zindagi karna hai angaron pe chal kar dekhna

apne muKHlis doston par war main kaise karun
koi dushman samne aae to jauhar dekhna

pyas honTon par liye baiTha hun sahil par magar
zid pe aa jaun to kuze mein samundar dekhna

khiDkiyan khulte hi hum honge nishana waqt ka
zaKHm sine par sajaana ho to bahar dekhna

mere hathon ki lakiron mein hai gardish waqt ki
meri qismat hi mein likkha tha ye chakkar dekhna

zindagi bhar Thokaren khane se behtar hai 'zafar'
rasta chalte hue raste ke patthar dekhna