ho chuka waz ka asar waiz
ab to rindon se dar-guzar waiz
subh-dam hum se tu na kar takrar
hai hamein pahle dard-e-sar waiz
bazm-e-rindan mein ho agar shamil
phir tujhe kuchh nahin KHatar waiz
waz apna ye bhul jae tu
aawe gar yar-e-sim-bar waiz
hai ye murgh-e-sahar se bhi faiq
subh uThta hai peshtar waiz
masjid-o-kaba mein tu phirta hai
ku-e-jaanan se be-KHabar waiz
shor-o-ghul band to nahin karta
hai tu insan ki koi KHar waiz
zahiri waz se hai kya hasil
apne baatin ko saf kar waiz
banda-e-ku-e-yar hai 'bahram'
teri masjid se kya KHabar waiz
Ghazal
Ho chuka waz ka asar waiz
Bahram ji