اردو हिंदी
Ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfam raqs | Shaahi Shayari
ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfam raqs

Ghazal

Ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfam raqs

Munshi Khairati Laal Shagufta

;

ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfam raqs
surat-e-bismil dikhae bulbul-e-nakaam raqs

KHana-e-maqtal mein hota hai guman firdaus ka
mor ban kar jab dikhati hai teri samsam raqs

wo hawa-KHwah-e-nasim-e-zulf hun main tira-baKHt
kyun na marqad par kare dud-e-charagh-e-sham raqs

aarzu hai iltifat-e-be-qarari se mujhe
wasl mein us ko dikhae har rag-e-andam raqs

dam nahin apna taDap kar lauTta hai hijr mein
ruh ko sikhla raha hai maut ka paigham raqs

ai 'shagufta' wo pari-ru mujh se farmata hai ye
tum ko dikhlaenge apna aaj zer-e-baam raqs