اردو हिंदी
Ho agar dida-e-tar husn-e-nazar khulta hai | Shaahi Shayari
ho agar dida-e-tar husn-e-nazar khulta hai

Ghazal

Ho agar dida-e-tar husn-e-nazar khulta hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

;

ho agar dida-e-tar husn-e-nazar khulta hai
shauq-e-nazzara se ehsas ka dar khulta hai

puri paDti hi nahin un ko rida-e-ghurbat
panw Dhak jaen agar un ke to sar khulta hai

ajnabiyyat ki wo diwaren uThae jaen
un mein dar khulta hai kab ahl-e-nazar khulta hai

dil samajhta hai ki aasudgi manzil par hai
dekhna ye hai kahan bar-e-safar khulta hai

mauja-e-shauq bhi ruKH apna badal le ai kash
baadban kashti-e-ulfat ka jidhar khulta hai

husn-e-KHud-bin-o-KHud-ara hai mizajan phir bhi
shaz-o-nadir hi wo khulta hai agar khulta hai

rahguzar fikr-o-nazar ki na ho 'rahi' mahdud
KHizr hon sath to imkan-e-safar khulta hai