hisar ke sabhi nizam gard gard ho gae
hum apne apne jism mein KHala-naward ho gae
rawaniyan sifar huin masafaten khanDar huin
najat ke tamam shahkar sard ho gae
hawa-e-jaan ka kya miyan uTha gai uDa gai
jame na the badan mein hum ki phir se gard ho gae
ibaraton mein aa basi ajib rut sukut ki
qalam ki shaKH ke tamam barg zard ho gae
na puchh hum se kya hua hayat ka 'riyaz' ka
dawam chhu gaya unhen to kard kard ho gae

Ghazal
Hisar ke sabhi nizam gard gard ho gae
Riyaz Latif