hisar-e-zat se niklun to tujh se baat karun
teri sifat ko samjhun to tujh se baat karun
tu kohsar mein wadi mein dasht-o-sahra mein
main tujh ko DhunD nikalun to tujh se baat karun
tu shaKH shaKH pe baiTha hai phul ki surat
main KHar KHar se uljhun to tujh se baat karun
tere ishaaron se baDh kar tera bayan mubham
main teri baat ko samjhun to tujh se baat karun
tu itna dur ki pahchanna bhi mushkil hai
tujhe qarib se dekhun to tujh se baat karun
jhijak jhijak ke agar ho to baat baat nahin
main teri aankh mein jhankun to tujh se baat karun
tu mera dost hai dushman hai ya ki kuchh bhi nahin
main tere dil ko TaTolun to tujh se baat karun
ye mauj mauj talatum pe Dubna mera
main ittifaq se ubhrun to tujh se baat karun
zaban-e-'qais' pe har waqt teri baaten hain
zaban-e-qais jo sikhun to tujh se baat karun

Ghazal
Hisar-e-zat se niklun to tujhse baat karun
Raj Kumar Qais