اردو हिंदी
Hisar-e-zat se bahar na apne ghar mein hain | Shaahi Shayari
hisar-e-zat se bahar na apne ghar mein hain

Ghazal

Hisar-e-zat se bahar na apne ghar mein hain

Rafique Khayal

;

hisar-e-zat se bahar na apne ghar mein hain
hum is zamin ki tarah mustaqil safar mein hain

bhaTak rahe hain andhere musafiron ki tarah
ujale mahw-e-sukun daman-e-sahar mein hain

jinhen KHabar hi nahin sharh-e-zindagi kya hai
wo mujrmon ki tarah qaid apne ghar mein hain

to e'tibar-e-shab-e-intizar hai jaanan
tere firaq ke mausam meri nazar mein hain

jo be-qarar hain un ko kahin qarar nahin
nasib wale sitaron ki rahguzar mein hain

'KHayal' aamad-e-fasl-e-bahaar hai shayad
jo sust-e-gam the wo log bhi safar mein hain