hisar-e-zat mein sara jahan hona tha
qarib aise tujhe meri jaan hona tha
teri jabin pe shikan kyun visal-lamhe mein
mohabbaton ka yahan to nishan hona tha
tumhaare chhune se kuchh raushni badan ko mili
wagarna us ko faqat rakh-dan hona tha
tumhaari nafraton ne miTTi mein mila Dala
jo KHwab tara sa palkon ki shan hona tha
bahut hi thoDi thi dil mein tumhaare umr meri
thi KHwab-zad mujhe dastan hona tha
bichhaD gaya to 'shabana' malal kya karna
use bichhaDna tha wahm o guman hona tha
Ghazal
Hisar-e-zat mein sara jahan hona tha
Shabana Yousaf