hisar-e-shahr mila dasht ka maza na mila
junun ke daur mein bhi koi mashghala na mila
ab us gulab ne kanTe ki ek chubhan bhi na di
mila zarur wo mujh se magar KHafa na mila
na tere qad ki koi bahr-e-KHush-KHiram mili
ghazal ka zikr hi kya koi qafiya na mila
jo bas chale to wo simTa le har numu-e-badan
haya se apni koi yun thaka hua na mila
bhanwar ki chiKH bulati rahi magar ai 'shaz'
andheri raat thi maujon ka naqsh-e-pa na mila
Ghazal
Hisar-e-shahr mila dasht ka maza na mila
Shaz Tamkanat