hisar-e-jism se aage nikal gaya hota
junun ki aag mein diwana jal gaya hota
hayat ek sahi kaenat ek sahi
hamare ahd ka insan badal gaya hota
hawa ke zor ne patthar uDa diye hote
tamam shahr ko tufan nigal gaya hota
main apni nind kisi ghar mein kaise bhul aata
wo mere KHwab ke sanche mein Dhal gaya hota
na puchh kaisa tha manzar teri judai ka
farishta hota to wo bhi dahal gaya hota
Ghazal
Hisar-e-jism se aage nikal gaya hota
Farooq Nazki