hisar-e-gham se jo nikle bhi to kidhar aae
bahut malal hua lauT ke jo ghar aae
dikhai kuchh na de lekin meri nigahon ko
tere jamal ka manzar faqat nazar aae
tumhaare dar se guzar jaun aur KHabar bhi na ho
mere safar mein ek aisi bhi rahguzar aae
tamam umr main zad mein raha hun raaton ki
mere KHuda mere hisse ki ab sahar aae
Ghazal
Hisar-e-gham se jo nikle bhi to kidhar aae
Khan Rizwan