his nahin taDap nahin bab-e-ata bhi kyun khule
hum hain girafta-dil abhi hum se saba bhi kyun khule
ab ye udas din hamein sath liye liye phire
KHwab bujhe to kya raha kali ghaTa bhi kyun khule
dil ka koi ziyan nahin jaan ka moamla nahin
hath mein ek diya nahin mauj-e-hawa bhi kyun khule
yan kisi rahguzar pe kuchh naqsh-e-qadam paDe rahe
qasid-e-KHush-KHabar nahin shahr-e-saba bhi kyun khule
umr tamam kaT di hasrat-e-kaKH-o-ku liye
mere tumhaare samne arz-o-sama bhi kyun khule
kuza-ba-kuza baT gain jitni bhi thin sadaqaten
KHali hatheliyon pe ab harf-e-dua bhi kyun khule
shiddat-e-raqs-e-arzu apna jawaz aap thi
meri nigah par 'ada' meri KHata bhi kyun khule
Ghazal
His nahin taDap nahin bab-e-ata bhi kyun khule
Ada Jafri