hirasan hun siyahi mein kami hoti nahin hai
charaghan kar raha hun raushni hoti nahin hai
bahut chaha ki aankhen band kar ke main bhi ji lun
magar mujh se basar yun zindagi hoti nahin hai
lahu ka ek ek qatra pilata ja raha hun
agarche KHak mein paida nami hoti nahin hai
darichon ko khula rakhta hun main har-waqt lekin
hawa mein pahle jaisi tazgi hoti nahin hai
main rishwat ke masail par namazen paDh na paya
badi ke sath mujh se bandagi hoti nahin hai
main apne ahd ki taswir har-pal khinchta hun
ghalat hai sochna ye shairi hoti nahin hai
bura hai dushmani se aashna hona bhi 'alam'
kisi se ab hamari dosti hoti nahin hai
Ghazal
Hirasan hun siyahi mein kami hoti nahin hai
Alam Khursheed