hir KHar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum
yun zindagi ki aag jalate rahe hain hum
shiriniyon ko zahr ke damon mein bich kar
naghme hayat-e-nau ke sunate rahe hain hum
is ki to dad dega hamara koi raqib
jab sang uTha to sar bhi uThate rahe hain hum
ta dil pe zaKHm aur na koi naya lage
apno se apna haal chhupate rahe hain hum
tere liye hi raat bhar ai mahr-e-zar-nigar
tarikiyon ke naz uThate rahe hain hum
ab koi taza phul khila KHak-e-paemal!
apna lahu zamin ko pilate rahe hain hum
Ghazal
Hir Khaar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum
Khalilur Rahman Azmi