hinsa ke pahle mujhe phir rula gaya ek shaKHs
fasana kah ke fasana bana gaya ek shaKHs
dikha ke ek jhalak apni chashm-e-mai-gun se
mai-e-nashat ye kaisi pila gaya ek shaKHs
kahun to kaise kahun ek ajib manzar tha
nigar-KHana-e-hasti saja gaya ek shaKHs
KHalish si uThti hai rah rah ke qalb-e-muztar mein
tha kaisa tir-e-nazar jo chubha gaya ek shaKHs
na jaane aa gaya dam-e-fareb mein kaise
tha sabz bagh jo mujh ko dikha gaya ek shaKHs
thi jis se sham-e-shabistan-e-zindagi raushan
jila ke sham-e-mohabbat bujha gaya ek shaKHs
mein us ko dekh ke hosh-o-hawas kho baiTha
jab aaya hosh mein uTh kar chala gaya ek shaKHs
KHumar jis ka abhi tak hai sar mein 'barqi' ke
sharab-e-shauq ka chaska laga gaya ek shaKHs
Ghazal
Hinsa ke pahle mujhe phir rula gaya ek shaKHs
Ahmad Ali Barqi Azmi