hina ke qaus-e-quzah ke shajar ke kya kya rang
wo aankh lai hai zanjir kar ke kya kya rang
tujhe KHabar nahin pahlu-e-mausam-e-gul se
chhalak rahe hain teri chashm-e-tar ke kya kya rang
utar rahe hain meri hairaton ke aangan mein
faraaz-e-shab se tulu-e-sahar ke kya kya rang
sar-e-visal tere kaif-o-kam se zahir hain
meri nazar pe kaf-e-kuza-gar ke kya kya rang
faza KHamosh hui phir bhi raqs karte hain
nawah-e-jaan mein kisi ki nazar ke kya kya rang
safar mein tark-e-masafat pe dil hua mail
masafaton mein khule apne ghar ke kya kya rang
guman bahaar ka hota hai ab KHizan pe 'razi'
chura liye hain KHizan ne shajar ke kya kya rang
Ghazal
Hina ke qaus-e-quzah ke shajar ke kya kya rang
Khwaja Razi Haidar