hilti hai zulf jumbish-e-gardan ke sath sath
nagin bhi hai lagi hui rahzan ke sath sath
kis ki kuduraton se ye miTTi KHarab hai
kis ka ghubar hai tere daman ke sath sath
uTTha tha munh chhupae hue main hi subh ko
jata tha main hi raat ko dushman ke sath sath
kuche mein us sanam ke KHudai ka lutf hai
nahaq phira main shaiKH o barhaman ke sath sath
dil ki tapish ne KHak uDai ye baad-e-marg
lasha phira kiya mera madfan ke sath sath
allah apne rashk ka darja bhi ab nahin
kis kis jagah gaya but-e-pur-fan ke sath sath
jhonka qafas mein aaya jo baad-e-bahaar ka
pahlu se dil nikal chala san-san ke sath sath
ashkon ke sath sath to maujen ghamon ki hain
aankhon ke shoale hain mere shewan ke sath sath
jis rah se guzarte hain wo, mujh se saikDon
ho lete hain junun-zada ban ban ke sath sath
zanjir mere panw ke pichhe paDi hai yun
phirta hai rishta jis tarah sozan ke sath sath
kab tak kisi ko kholen kisi ko karen wo band
phirti hai yan nigah to rauzan ke sath sath
yun sath ruh ke hai tan-e-zar ab 'nizam'
phirta hai jaise saya mera tan ke sath sath
Ghazal
Hilti hai zulf jumbish-e-gardan ke sath sath
Nizam Rampuri