hikayat-e-husn-e-yar likhna hadis-e-mina-o-jam kahna
abhi wahi kar-e-ashiqan hai sukut-e-gham ka kalam kahna
ufuq taghayyur ki tez lau se pighal raha hai badal raha hai
magar is ahwal-e-waqai ko likhen na wo mere nam kahna
hazar hathon se main ne jis ko sambhaal rakkha tha zindagi mein
charagh-bar-kaf bisat-e-dil par khaDi hui hai wo sham kahna
agar teri aastin-e-tar ko KHabar nahin dastan-e-gham ki
zamana unwan-e-taza-tar se suna gaya na-tamam kahna
dhowen mein ek tair-e-nawa-gar ne aatish-e-gul pe jaan de di
rag-e-gulu mein jali hui lai chamak gai zer-e-dam kahna
hum aise jada-taraaz-e-sahra nikal hi aate hain chand aaKHir
suKHan ko uslub-e-zindagi ka diya hai hum ne hi nam kahna
kabhi kabhi to lahak sa uThta hai barq-o-baran ki chashmakon mein
kisi ada-e-visal-saman ka KHanjar-e-be-niyam kahna
utar gaya dil mein zahr-e-kakul nisar ek sarw-e-dil-satan ke
fusun-e-chaara-gari se guzra mohabbaton ka payam kahna
KHayal-e-yaran-e-ku-ba-ku se nazar hai ek matam-e-nazara
dam-e-harifan-e-be-subu se nafas hai be-nang-o-nam kahna
abhi to kuchh log zindagi mein hazar sayon ka ek shajar hain
unhin ke sayon mein qafile kuchh Thahar gae be-qayam kahna
KHuda tujhe aafiyat ki aabaadiyon mein nauras safir rakkhe
udhar ke diwar-o-dar salamat meri taraf se salam kahna
Ghazal
Hikayat-e-husn-e-yar likhna hadis-e-mina-o-jam kahna
Aziz Hamid Madni