hikayat-e-dil-e-mahzun na qissa-e-majnun
kisi ki baat sunun main na apni baat kahun
to main wahi hun jise wo aziz rakhta tha
main KHud ko soch to lun aaine mein dekh to lun
to jis libas mein kal us ne mujh ko dekha tha
wahi qamis pahan kar udhar se phir guzrun
wo ek lamha azal-ta-abad wahi lamha
wo mujh se kuchh na kahe main bhi us se kuchh na kahun
wo bhul jae mujhe us ko bhul jaun main
charagh-e-jaan use nisyan ke taq par rakh dun
Ghazal
Hikayat-e-dil-e-mahzun na qissa-e-majnun
Mushaf Iqbal Tausifi

