اردو हिंदी
Hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jate | Shaahi Shayari
hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jate

Ghazal

Hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jate

Qateel Shifai

;

hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jate
wo naghme jo tumhaare pyar se aage nahin jate

kamanden Dalne aae the jo baam-e-surayya par
wahi ab saya-e-diwar se aage nahin jate

gada-e-zat kya jaanen nawa-e-kaenat ai dil
ye wo mansur hain jo dar se aage nahin jate

baDi himmat dikhaenge to sahil chhoD jaega
hamare naKHuda manjdhaar se aage nahin jate

ajab ahl-e-samaat hain jo zanjiron se ghabra kar
teri pazeb ki jhankar se aage nahin jate

murattab jin ko apni aabla-pai nahin karti
wo afsane gul-o-gulzar se aage nahin jate