hijran ki shab jo dard ke mare udas hain
un ki nazar mein chand sitare udas hain
aankhen wo phir gain ki zamana ulaT gaya
jite the jo nazar ke sahaare udas hain
kya hir ab kahin hai na ranjhe ka jaan-nashin
kyun ai chanab tere kinare udas hain
behtar hai hum bhi chashm-e-jahan-bin ko mund len
duniya ke ab tamam nazare udas hain
'mahrum' kya kalam bhi apna fana hua
kyun hum ko kho ke dost hamare udas hain
Ghazal
Hijran ki shab jo dard ke mare udas hain
Tilok Chand Mahroom