hijr-zada aaankhon se jab aansu nikle KHamoshi se
kisi ne samjha raat samay do dip jale KHamoshi se
main bhi aag laga sakta hun is barsat ke mausam mein
thoDi dur talak wo mere sath chale KHamoshi se
sham ki dhimi aanch mein jab KHurshid naha kar so jae
manzar aapas mein milte hain KHub gale KHamoshi se
barf ki parten jab bhi dekhun main unchi diwaron par
jism sulagne lagta hai aur dil pighle KHamoshi se
chahat ke phir phul khilenge aap ki ye KHush-fahmi hai
kapDe mere samne mausam ne badle KHamoshi se
din ke ujalon mein shayad main KHud se bichhDa rahta hun
raat ki tariki mein ek KHwahish machle KHamoshi se
jab bhi nadida sapnon ne man aangan mein raqs kiya
teri yaad ke jugnu chamke raat Dhale KHamoshi se
mulk-e-suKHan ke shahzadon ki saf mein khaDa ho jaega
gar tere lahje ki dhaDkan KHushbu ugle KHamoshi se
Ghazal
Hijr-zada aaankhon se jab aansu nikle KHamoshi se
Rafique Khayal