اردو हिंदी
Hijr o visal ki sardi garmi sahta hai | Shaahi Shayari
hijr o visal ki sardi garmi sahta hai

Ghazal

Hijr o visal ki sardi garmi sahta hai

Zaheer Kashmiri

;

hijr o visal ki sardi garmi sahta hai
dil darwesh hai phir bhi raazi rahta hai

phul se itna rabt baDhana Thik nahin
qatra-e-shabnam uDte uDte kahta hai

is kuTiya ko Dhane wale ghaur se sun
is kuTiya mein tera dhyan bhi rahta hai

har aansu mein aatish ki aamezish hai
dil mein shayad aag ka dariya bahta hai

mujh se bichhaD kar pahron roya karta tha
wo jo mere haal pe hansta rahta hai

dil ko shayad fasl-e-bahaaran ras nahin
bagh mein rah kar KHushbu ke dukh sahta hai

main ne us ko apna masiha man liya
sara zamana jis ko qatil kahta hai

tara tara hijr ke qissa phaile hain
aansu aansu dil ka sagar bahta hai

un honTon se yun risti hai baat 'zahir'
jaise ek naghmon ka jharna bahta hai