hijr-o-visal-e-yar ka parda uTha diya
KHud baDh ke ishq ne mujhe mera pata diya
gard-o-ghubar-e-hasti-e-fani uDa diya
ai kimiya-e-ishq mujhe kya bana diya
wo samne hai aur nazar se chhupa diya
ai ishq-e-be-hijab mujhe kya dikha diya
wo shan-e-KHamushi ki bahaaren hain muntazir
wo rang-e-guftugu ki gulistan bana diya
dam le rahi thin husn ki jab sehr-kariyan
in waqfa-ha-e-kufr ko iman bana diya
malum kuchh mujhi ko hain un ki rawaniyan
jin qatra-ha-e-ashk ko dariya bana daya
ek barq-e-be-qarar thi tamkin-e-husn bhi
jis waqt ishq ko gham-e-sabr-azma diya
saqi mujhe bhi yaad hain wo tishna-kaamiyan
jin ko harif-e-saghar-o-mina bana diya
malum hai haqiqat-e-gham-ha-e-rozgar
duniya ko tere dard ne duniya bana diya
ai shoKHi-e-nigah-e-karam muddaton ke baad
KHwab-e-giran-e-gham se mujhe kyun jaga diya
kuchh shorishen taghaful-e-pinhan mein thin jinhen
hangama-zar-e-hashr-e-tamanna bana diya
baDhta hi ja raha hai jamal-e-nazar-fareb
husn-e-nazar ko husn-e-KHud-ara bana diya
phir dekhna nigah laDi kis se ishq ki
gar husn ne hijab-e-taghaful uTha diya
jab KHun ho chuka dil-e-hasti-e-etibar
kuchh dard bach rahe jinhen insan bana diya
gum-karda-e-wafur-e-gham-e-intizar hun
tu kya chhupa ki mujh ko mujhi se chhupa diya
raat ab harif-e-subh-e-qayamat hi kyun na ho
jo kuchh bhi ho us aankh ko ab to jaga diya
ab main hun aur lutf-o-karam ke takallufat
ye kyun hijab-e-ranjish-e-be-ja bana diya
thi yun to sham-e-hijr magar pichhli raat ko
wo dard uTha 'firaq' ki main muskura diya
Ghazal
Hijr-o-visal-e-yar ka parda uTha diya
Firaq Gorakhpuri