hijr-o-visal-e-yar ka mausam nikal gaya
ai dard-e-ishq jag zamana badal gaya
kab tak ye roz-e-hashr sun ai sham-e-intizar
kya raat ab na aaegi suraj to Dhal gaya
ab ke kahan se aae ho sawan ke baadalo
dekho to sara bagh hi barkha se jal gaya
jaun kahan ki tab nahin arz-e-naghma ki
pani mein aag lag gai patthar pighal gaya
saton suron ke rag se jalti hai dil ki aag
baad-e-fana main bhi mera shoala sambhal gaya
us ki sada se rag nikale 'shahab' ne
ek shab lagi wo aag ki nadan jal gaya
Ghazal
Hijr-o-visal-e-yar ka mausam nikal gaya
Shahab Jafri