hijr mein jo ashk-e-chashm-e-tar gira 
ek payam haal-e-dil ban kar gira 
doston ke tanz ka ek ek tir 
barq ban ban kar mere dil par gira 
jab uThaya bazm se us shoKH ne 
main uTha uTh kar chala chal kar gira 
wae ek muflis ka tha sab kuchh wahi 
in dinon sailab mein jo ghar gira 
kya ghazab hai zindagi ki dauD mein 
rahzan aage baDha rahbar gira
        Ghazal
Hijr mein jo ashk-e-chashm-e-tar gira
Badar Jamali

