hijr mein ho gaya visal ka kya
KHwab hi ban gaya KHayal ka kya
KHud-numai pe KHak Dalo tum
dekhna shakl-e-be-misal ka kya
teri furqat ke din KHuda kaTe
ho rahega kabhi visal ka kya
dil ke dene mein uzr kis ko hai
jaan hi de rahe hain mal ka kya
haal us ne hamara puchha hai
puchhna ab hamare haal ka kya
wasl ki iltija pe bigDe kyun
sun ke chup ho raho sawal ka kya
daur ki aashiqi gunah nahin
dekh lete hain dekh-bhaal ka kya
zulf ko kyun jakaD ke bandha hai
us ne bosa liya tha gal ka kya
aaj tum kyun malul baiThe ho
wasl din hai mere visal ka kya
jab kaha tum se roz milta hun
hans ke kahne lage KHayal ka kya
qaul ke waqt shart-e-fursat kyun
daKHl wade mein ehtimal ka kya
ranj de kar jo KHush ho ai 'muztar'
us ko sadma mere malal ka kya
Ghazal
Hijr mein ho gaya visal ka kya
Muztar Khairabadi