hijr mein guzri hai us raat ki baaten na karo
aap tajdid-e-mulaqat ki baaten na karo
dil ne har daur mein duniya se baghawat ki hai
dil se tum rasm-o-riwayat ki baaten na karo
himmaten qafile walon ki na hon past kahin
rahraw-e-gardish-e-haalat ki baaten na karo
chahiye josh-e-talab mere shikasta-dil ko
aise haalat mein sadmat ki baaten na karo
zindagi aur bhi tashrih-talab hai yaro
gham ke tapte hue lamhat ki baaten na karo
kitne hi zaKHm hare hain mere sine mein 'niyaz'
aap ab mujh se inayat ki baaten na karo
Ghazal
Hijr mein guzri hai us raat ki baaten na karo
Abdul Mateen Niyaz