hijr ki shab mein bayan kis se main rudad karun
un ka parda bhi rakhun apni bhi fariyaad karun
aah-o-nala na karun aur na fariyaad karun
sochta hun main unhen kis tarah ab yaad karun
mahfil-e-ghair mein wo mujh ko milen to ai dil
kis tarah zikr tera ai dil-e-nashad karun
ma-siwa tere nazar mein koi jachta hi nahin
KHana-e-dil mein tujhe kyun na main aabaad karun
zaKHm hi zaKHm mohabbat hain mere dil mein agar
sochta hun ki bayan kaise ye rudad karun
dil azal hi se hai mail jo hasinon ki taraf
kyun mohabbat ke gharondon ko main barbaad karun
charKH-e-be-mehr se kam tu bhi nahin hai zalim
aashiyan kaise hawale tere sayyaad karun
kaisi mushkil si hai mushkil ye na puchhun mujh se
kis tarah zehn-e-pareshan ko main aazad karun
shab ki tanhai mein aksar yahi socha hai 'nazir'
yaad kar kar ke tujhe dil ko to ab shad karun
Ghazal
Hijr ki shab mein bayan kis se main rudad karun
Nazeer Rampuri