hijr ki shab ghaDi ghaDi dil se yahi sawal hai
jis ke KHayal mein hun gum us ko bhi kuchh KHayal hai
hae-ri bebasi shauq-e-dil ka ajib haal hai
us ka jawab sun chuka phir bhi wahi sawal hai
KHwab-o-fusun nahin to kya dil ye junun nahin to kya
KHalwat-e-dost aur tu tera kahan KHayal hai
main tere dar ko chhoD dun shart-e-wafa ko toD dun
sonch KHud apne dil mein tu kya ye meri majal hai
sharm si nazar dil ki hai uThti nahin nigah-e-shauq
ishq ki manzilon mein ek manzil-e-infial hai
chahenge gar to dil ki baat aap hi jaan lenge wo
munh se kahun to kya kahun shakl meri sawal hai
baat unhin ki man li jaise main hi KHata pe tha
un ko kahin ye shak na ho dil mein mere malal hai
ab teri justuju hui himmat-e-dil ke hasb-e-zauq
tu ne ye jab se kah diya ye talab muhaal hai
sath-e-mazaq-e-bazm par 'mulla' utar ke aana to
auron ka jo kamal hai tere liye zawal hai
Ghazal
Hijr ki shab ghaDi ghaDi dil se yahi sawal hai
Anand Narayan Mulla