hijr ki rut hai tera rup magar samne hai
han wahi chehra wahi dida-e-tar samne hai
KHub hai shahr-e-aman tera yahan bhi ai jaan
jis se hum bach ke chale the wo KHatar samne hai
ab nahin koi yahan hausla dene wala
phir wahi dasht wahi sham-e-safar samne hai
sath chalti thin abhi ek nagar ki chiKHen
ab koi dusra majruh nagar samne hai
ab bhi hai duri ka ehsas ki shal hain panw
yun to main shahar mein hun aap ka ghar samne hai
dhup ki tez tapish aur safar hai dar-pesh
saeban koi yahan hai na shajar samne hai
agle lamhe ka bhala kis ko yaqin hai 'athar'
zindagi kya hai bas ek raqs-e-sharar samne hai
Ghazal
Hijr ki rut hai tera rup magar samne hai
athar shakeel