hijr ki raat meri jaan pe bani ho jaise
dil mein ek yaad ki neze ki ani ho jaise
nahin malum ki main kaun hun manzil hai kahan
chadar-e-KHak har ek samt tani ho jaise
apni aawaz ko KHud sun ke laraz jata hun
kisi sae se meri ham-suKHani ho jaise
hadsa ek magar kitne ghamon ka ehsas
ek surat kai rangon se bani ho jaise
bhul kar bhi koi leta nahin ab nam-e-wafa
ishq is shahr mein gardan-zadani ho jaise
kitne aaram se hun ars-e-tanhai mein
gosha-e-dasht mein bhi chhanw ghani ho jaise
kis qadar narm o dil-awez hai ye garm sahar
dhup mahtab ki chadar mein chhani ho jaise
kabhi sine se bhi phulon ki mahak aati hai
dil mein bhi koi faza-e-chamani ho jaise
jism wo jism ki lapka hua kaunda koi
honT wo honT ki lal-e-yamani ho jaise
dil mein chubhti bhi rahi aankh mein khubti bhi rahi
mizha-e-tez ki hire ki kani ho jaise
KHud hi taswir banata hun miTa deta hun
but-gari mere liye but-shikani ho jaise
kam nahin himmat-e-farhad se sai-e-taKHliq
kisi shirin ke liye koh-kani ho jaise
mahfil-e-dost ki raunaq mein hain 'shahzad' magar
dil ka ye haal gharib-ul-watani ho jaise
Ghazal
Hijr ki raat meri jaan pe bani ho jaise
Shahzad Ahmad