hijr ke mausam mein yaaden wasl ki raaton mein hain
kuchh gile-shikwe yaqinan sab munajaton mein hain
dhup ke mausam mein the payab dariya sab magar
kaise kaise KHushk manzar ab ke barsaton mein hain
hain moattar ab bhi shamen teri KHushbu ke tufail
zau-fishan jugnu tere ab bhi meri raaton mein hain
tishnagi sadiyon ki qurbat se na bujh pai meri
log kitne mutmain thoDi mulaqaton mein hain
dusron ne apni taqdiron ke bal suljha liye
zulf-e-pechan hum abhi uljhe teri baaton mein hain
bas gae shahr-e-haqiqat mein wo jin ke dil nahin
ahl-e-dil to ab bhi KHwabon ke muzafaton mein hain
aaj TuTega yaqinan phir tilism-e-aina
sare chehre mushtail hain sang sab hathon mein hain
Ghazal
Hijr ke mausam mein yaaden wasl ki raaton mein hain
Asad Badayuni