اردو हिंदी
Hijr ke hath se ab KHak paDe jine mein | Shaahi Shayari
hijr ke hath se ab KHak paDe jine mein

Ghazal

Hijr ke hath se ab KHak paDe jine mein

Bahadur Shah Zafar

;

hijr ke hath se ab KHak paDe jine mein
dard ek aur uTha aah naya sine mein

KHun-e-dil pine se jo kuchh hai halawat hum ko
ye maza aur kisi ko nahin mai pine mein

dil ko kis shakl se apne na musaffa rakkhun
jalwagar yar ki surat hai is aaine mein

ashk o laKHt-e-jigar aankhon mein nahin hain mere
hain bhare lal o guhar ishq ke ganjine mein

shakl-e-aina 'zafar' se to na rakh dil mein KHayal
kuchh maza bhi hai bhala jaan meri lene mein