hijr ka ye karb sara be-asar ho jaega
koi naghma yar ka jab chaaragar ho jaega
zindagi ek daera hai gar muKHalif bhi chalen
fasla un duriyon ka muKHtasar ho jaega
walihana dastaken tum de ke dekho to sahi
dil mera KHali makan hai yar ghar ho jaega
ab tumhaare mo'tarif hain rahbar-o-rahzan sabhi
tum jise apna kahoge mo'atabar ho jaega
hai mayassar aaj jaanan kar lo apne gham ghalat
kal ko 'zakir' bhi purani ek KHabar ho jaega
Ghazal
Hijr ka ye karb sara be-asar ho jaega
Zakir Khan Zakir