hijr ka qissa bahut lamba nahin bas raat bhar hai
ek sannaTa magar chhaya hua ehsas par hai
ek samundar be-hisi ka ek kashti aarzu ki
hae kitni muKHtasar logon ki rudad-e-safar hai
main azal se chal raha hun thak gaya hun sochta hun
kya teri duniya mein har manzil nishan-e-rahguzar hai
is fasil-e-gham ko sar karne pe bhi kya mil sakega
ek diwar-e-hawa hai ek tera sang-e-dar hai
Dubne wale sitare ko bhala kab tak pukare
zindagi ki raat ko suraj ke hans dene ka Dar hai
dekh le mujh ko abhi kuchh raushni baqi hai mujh mein
sham tak ek ret ka tufan aane ki KHabar hai
Ghazal
Hijr ka qissa bahut lamba nahin bas raat bhar hai
Shamim Hanafi