hijr ka gham bhi nahin wasl ki parwa bhi nahin
dil bhi pahlu mein nahin dil ki tamanna bhi nahin
nahin darkar nahin mujh ko gham-e-chaara-e-gham
han main diwana hun be-shak magar itna bhi nahin
tum na sharmao na ghabrao main kahta bhi hun kuchh
zikr-e-wada bhi nahin KHwahish-e-ifa bhi nahin
joshish-e-girya ek eajaz hai warna dil-e-zar
aaKHir ek bund hai baadal nahin dariya bhi nahin
be-KHudi hashr mein kya yaad dilaunga use
KHud mujhe yaad ab us shoKH ka wada bhi nahin
waqt pursish hai abhi fursat-e-ehsan hai abhi
aaiye main abhi zinda bhi hun achchha bhi nahin
ab kahan lazzat-e-ehsas-e-taraqqi 'mani'
yas mein jazar-o-mad-e-dard-e-tamanna bhi nahin

Ghazal
Hijr ka gham bhi nahin wasl ki parwa bhi nahin
Mani Jayasi